Poems in the Praise of the Holy Prophet (S.A.W.) and Ahlul Bayt (A.S.)
By: Fatima Zabeth Beenesh, Hyderabad, India
Ya Nabi
Ham musalmano ko ab wahdat ki taqat dijye
Manqabat
Vo Arab ki sarzami’n aur vo jahalath qaum ki
Aap ki qurbaniyan aur vo adaavath qaum ki
Thi tabahi ki taraf dunya haqiqat bhul ke
Apne gulshan die unko hasi’n har phulke
Aap par bheje hain rab ne kitne salwat-o-salam
Jahil-o-gumrah ko bheja hai neki ka payam
Be kason ko aap se milta hai izzat ka jaha’n
Hai mulsalmano’n ki dunya ap hi se asmaa’n
Hai musalmanon ke dilme ek taaqat apse
Har pareshani me aafath me hai himmat apse
Apki hai justaju hardam mere ahsas ko
Jo amal bhi mujhse ho vo apki rahon me ho
Fakhr hai Allah ko bhi apki vo zath hai
Asman par gunjthi salwat hi salwath hai
Bhejte hain sab malaaik aap pe salwaath hi
Ye durud unki masarrath aur khushi hai ya Nabi
Ae Nabi Allah k ghar ye sifaarish kijiye
Ham musalmann ko ab wahdat ki taqat dijye
Paikar e Islam zakhmi aur ham hai be khabar
Dije ansu’n me hamari Ya Nabi abto asar
Ansuon k sath ankhon se ye khoon-e-dil ba’he
Dil hamara ho na gafil aur nazar raushan rahe
Nind hai gahri ye gaflath ki hamari Ya Nabi
Barh gaee Islam ki ab be qarari Ya Nabi
ho’n na kam ye hausle hamko dua ye dijye
paikar e Islam ki Agha hifazat kijye
apki hi raah par hon gaamzan ham Ya Nabi
khatm hojaen hamare jo bhi gham hon Ya Nabi
Ali hi Ali hai
Manqabat
Jahan me hamara Ali hi Ali hai
Ye alam hi sara Ali hi Ali hai
Hai bebas ko ik as dunya me un se
Bas uska sahara Ali hi Ali hai
Ho’n be chain kiun kar andhere jahan me
Ke suraj hamara Ali hi Ali hai
Do alam hain raushan Ali hi k dam se
In ankhon ka tara Ali hi Ali hai
Hai ahsas me vo hai har sans me vo
Hame’n sab se piara Ali hi Ali hai
Hai piason ka saqqa hai taskeen muztar
Ye dil ka sharara Ali hi Ali hai
Na parvah hai toofa’n se koi Beenesh
Hamara kinara Ali hi Ali hai
Ya Fatima Zahra (A.S.)
Hai tamanna ye Fatima Zahra
Hashr ke din tum apni chadar ka
Dal do hampe mehrba’n saya
Waqt hamper bura agar aya
Ya ilahi kare’n ibadat ham
Hausle ho’n na kabhi isme kam
Ham hifazat karenge parde ki
Cha’he ho mushkilat kitni bhi
Roze mahshar jo rubaru honge
Ahl parda Janaab-e-Zahra ke
Fakhr se uncha unka sar hoga
Aasra de’n jo apni chadar ka
Isi chadar ki to, panah me ham
Sue jannat rava’n rahen janam
Fatema yad rakhna Beenesh ko
Hashr me ilteja hai mat bhulo
Parcham-e-Zainab (A.S.)
Manqabat
Shabbeer ke parcham ko Zainab ne uthaya hai
Yu’n azm e Husaini ko Zainab ne barhaya hai
Islam bachana hai aur khauf na khana hai
Mazlum ko dunya me Zainab ne sikhaya hai
Tum jago Musalmano ta hashr ye kahti hai
Gafil ho Musalman gar Zainab ne jagaya hai
Zaalim ko kia rusva aaho’n se jo Zainab ne
Aj unka hai khoon taaza dunya ko bataya hai
Qatil ko mere Zainab nifreen na karna tum
Ye qaul bhi khehar kia khub nibhaya hai
Rumal ko ashkon se ta hashr rakhenge tar
Ye thaan ke Beenesh ne aprcham ko uthya hai
Lijiye Abbas (.S.) ab salam mera
Manqabat
Aap hain haajato’n ka darwaza
Lijiye Abbas (.S.) ab salam mera
Thamye baazu ko mere, gurbat me
Apke piyar se hai dil zinda
Magar Qur’an ko apnana hai dunya me bhot mushkil
Ba’nega pairave Qura’n karega do jaha’n hasil
Jie ga sar uthake is jaha’ n me hoga tu fazil
Ke Qur’an pardke ruho’n ko bhot asa’n hai ham bakshe’n
Magar Qur’an ko apnana hai dunya me bhot mushkil
* * *
Javab-e-Nabi (S.A.W.)
Paigambar-e-Akram se kisi shakhs ne poocha
Maa baap me hai sabse aham kaun si hasti
Is shaks se farmaya Nabi ne ye javaban
Maa hi to hai, Maa hi to hai, Maa hi to hai apni
|