|
Sharaf ke shahr main har baam wa da'r Husain (A.S.) ka hai
Poem by Professor Iftikhar Husain Arif
Renowned and Famous Contemporary Urdu Poet
Sharaf ke shahr main har baam wa da\'r Husain (A.S.) ka hai
Zamane bhar ke gharanow main ghar Husain (A.S.) ka hai
Furat-e-waqt-e-rawan! Dekh su\'ee maqtal dekh
Jo sar buland hai ab bhi wo sar Husain (A.S.) ka hai
Zameen kha gayee kya kya buland wa baala darakht
Hara bhara hai jo ab bhi shajar Husain (A.S.) ka hai
Sawal-e-bay\'aat-e-shamsheer par jawaz bahut
Magar jawab wohi mo\'tabar Husain (A.S.) ka hai
Kahan ki jang kahan jake sar huwi hai ke ab
Tamam aalam-e-khair wa khabar Husain (A.S.) ka hai
Muhhabbatow ke hawalow main zikr aane laga
Yeh fazl bhi to mere haal par Husain (A.S.) ka hai
Huzoor Shafeh-e-Mehshar (S.A.W.A.)\' Ali (A.S.) khahenge ke ye shaksh
Gunahgaar bahut hai magar Husain (A.S.) ka hai
|